اردو हिंदी
Ye kya hua ki sabhi ab to dagh jalne lage | Shaahi Shayari
ye kya hua ki sabhi ab to dagh jalne lage

Ghazal

Ye kya hua ki sabhi ab to dagh jalne lage

Farhan Salim

;

ye kya hua ki sabhi ab to dagh jalne lage
hawa chali to lahu mein charagh jalne lage

miTa gaya tha lahu ke sabhi nishan qatil
magar jo sham Dhali sab charagh jalne lage

ek aisi fasl utarne ko hai gulistan mein
zamana dekhe ki phulon se bagh jalne lage

nigah-e-tair-e-zindan uThi thi ghar ki taraf
ki soz-e-atash-e-giryan se dagh jalne lage

ab us maqam pe hai mausamon ka sard mizaj
ki dil sulagne lage aur dimagh jalne lage

ab aa bhi ja ki yun hi dur dur rahne se
ye mere honT wo tere ayagh jalne lage

naha ke nahr se 'salim' pari wo kya nikli
ki tab-e-husn se KHud astabagh jalne lage