اردو हिंदी
Ye kya hua ki har ek rasm-o-rah toD gae | Shaahi Shayari
ye kya hua ki har ek rasm-o-rah toD gae

Ghazal

Ye kya hua ki har ek rasm-o-rah toD gae

Sadique Indori

;

ye kya hua ki har ek rasm-o-rah toD gae
jo mere sath chale the wo sath chhoD gae

wo aaine jinhen hum sab aziz rakhte the
wo phenke waqt ne patthar ki toD phoD gae

hamare bhige hue damanon ki shan to dekh
falak se aae malak aur gunah nichoD gae

bipharti maujon ko kashti ne raund Dala hai
KHusha wo azm ki tufan ka zor toD gae

rahegi gunj hamari to ek muddat tak
hamare sher kuchh aise nuqush chhoD gae

un aae din ke hawadis ko kya kahun 'sadiq'
meri taraf hi hawaon ka ruKH ye moD gae