ye kya andaz hain dast-e-junun-e-fitna-saman ke
uDae ja rahe hain chaak kyun sahra ke daman ke
abhi tum ne nahin dekhe sharare aah-e-sozan ke
abhi shoale kahan bhaDke hain dil mein dard-e-pinhan ke
hawadis ki hawaon ne ghaTa di lau mohabbat ki
diye maddham se hote ja rahe hain bazm-e-jaanan ke
wafa ke gul hi wo gul hain ki jo daim mahakte hain
wagarna ye kahan hai baat phulon mein gulistan ke
jalao KHun-e-dil mahfil mein jab kuchh raushni hogi
andhera har taraf chhaya hua hai bazm-e-jaanan ke
gulon se tazgi phulon se rangat ho gai ruKHsat
saba ne kan mein kya kah diya fasl-e-bahaaran ke
unhen bhi shams' ki haalat pe rahm aa hi gaya aaKHir
na dekhe ja sake paiham mazalim charKH-e-gardan ke
Ghazal
Ye kya andaz hain dast-e-junun-e-fitna-saman ke
Shams Itawi