اردو हिंदी
Ye kya ki pahle qarib hona bana ke chalna hai fasla phir | Shaahi Shayari
ye kya ki pahle qarib hona bana ke chalna hai fasla phir

Ghazal

Ye kya ki pahle qarib hona bana ke chalna hai fasla phir

Murlidhar Sharma Talib

;

ye kya ki pahle qarib hona bana ke chalna hai fasla phir
ki dasht-e-qurbat mein KHud hi khona talash karna hai rasta phir

safar hua tha jahan se jari usi jagah par hai lauTna phir
qadam qadam hadson se laDna na hum se hoga ye hausla phir

use udasi mein yaad karna ki yaad kar ke udas hona
ye puchh hum se hai kitna mushkil bikharna aur KHud ko joDna phir

ho aaj-kal tum nahin rahoge koi to lega jagah tumhaari
jahan thama tha wahin se lekin shurua hoga ye silsila phir

nazar jo aae wo sach nahin hai nazar ko kyun kar nazar bhi aae
ki gard chehre se mat haTao lo toD Dalo ye aaina phir

hamein jazire pe jab utara to is safine pe naz kyun ho
ki bahr-e-hasti ka hai ye hasil to is se behtar tha Dubna phir

koi yahan muskura raha hai kisi ke aansu chhalak rahe hain
suna hai main ne mushaere mein hua hai 'talib' ghazal-sara phir