اردو हिंदी
Ye kis qayamat ki bekasi hai zamin hi apna na yar mera | Shaahi Shayari
ye kis qayamat ki bekasi hai zamin hi apna na yar mera

Ghazal

Ye kis qayamat ki bekasi hai zamin hi apna na yar mera

Fani Badayuni

;

ye kis qayamat ki bekasi hai zamin hi apna na yar mera
na KHatir-e-be-qarar meri na dida-e-ashk-bar mera

nishan-e-turbat ayan nahin hai nahin ki baqi nishan nahin hai
mazar mera kahan nahin hai kahin nahin hai mazar mera

visal tera KHayal tera jo ho to kyunkar na ho to kyunkar
na tujh pe kuchh iKHtiyar dil ka na dil pe kuchh iKHtiyar mera

nigah-e-dil-doz ki duhai jamal-e-jaan-soz ki duhai
rah-e-mohabbat mein gham ne luTa shakeb o sabr o qarar mera

main dard-e-furqat se jaan-ba-lab hun tumhein yaqin-e-wafa nahin hai
mujhe nahin e'tibar apna tumhein nahin e'tibar mera

qadam nikal ab to ghar se bahar jo dam bhi sine se sahl nikle
dikha na ab intizar apna lahad ko hai intizar mera

suna hai uTTha hai ek bagula jilau mein kuchh aandhiyon ko le kar
tawaf-e-dast-e-junun ko shayad gaya hai 'fani' ghubar mera