ye kis ne shaKH-e-gul la kar qarib-e-ashiyan rakh di
ki main ne shauq-e-gul-bosi mein kanTon par zaban rakh di
suna tha qissa-KHwan koi naya qissa sunaega
hamare munh pe zalim ne hamari dastan rakh di
KHulus-e-dil se sajda ho to us sajde ka kya kahna
wahin kaba sarak aaya jabin hum ne jahan rakh di
uThaya main ne sham-e-hijr lutf-e-guftugu kya kya
tasawwur ne teri taswir ke munh mein zaban rakh di
Ghazal
Ye kis ne shaKH-e-gul la kar qarib-e-ashiyan rakh di
Seemab Akbarabadi