ye kis ne dasht-e-bala se mujhe pukara hai
abhi abhi to mujhe zindagi ne haara hai
tasawwur-e-ruKH-e-jaanan kiye hue hum log
hamari aankh mein aansu nahin sitara hai
koi charagh na jugnu na aaina na kitab
ye kaisa KHwab meri aankh par utara hai
bas ek umid hai jis ne sambhaal rakkha hai
bas ek nam hai jis ka hamein sahaara hai
abhi main aaya-e-tathir paDhne wala hun
ye KHamushi kisi ilham ka ishaara hai

Ghazal
Ye kis ne dasht-e-bala se mujhe pukara hai
Rahil Bukhari