ye kis ne bharam apni zamin ka nahin rakkha
hum jis ke rahe us ne kahin ka nahin rakkha
dekha ki abhi ruh mein fariyaad-kunan hai
sajda jise paband jabin ka nahin rakkha
afsos ki inkar ki manzil nahin aai
har chand ki dar band nahin ka nahin rakkha
aur apni tarah ke yahan salik hain kai aur
har shaKHs par ilzam yaqin ka nahin rakkha
gulzar khilae jahan bazar lagae
hum KHak-nashinon ko wahin ka nahin rakha
ek aisi qanaat hai tabiat mein ki jis ne
mohtaj hamein nan-e-jawin ka nahin rakkha
us ghar ke muqaddar mein tabahi na likhi ho
wo jis ne KHayal apne makin ka nahin rakkha

Ghazal
Ye kis ne bharam apni zamin ka nahin rakkha
Saqi Faruqi