ye kis maqam pe Thahra hai karwan-e-wafa
na raushni ki kiran hai kahin na taza hawa
hui hai jab se yahan nutq-o-lab ki baKHiya-gari
siwae hasrat-e-izhaar dil mein kuchh na raha
is ehtimam se shab-KHun paDa ki muddat se
ujaD si nazar aati hai shahr-e-dil ki faza
tamam umr usi ki talash mein guzri
wo ek aks jo aaina-e-nazar mein na tha
ye kis ne aaj dabe-panw dil mein aate hi
KHayal-o-fikr ka qufl-e-sukut toD diya
kuchh is tarah se teri yaad ki mahak aai
ki jaise daman-e-sahra mein koi phul khila
shikast-e-dil pe 'raza' hum bhi TuT kar roe
magar na itne ki so hi sake na ham-saya
Ghazal
Ye kis maqam pe Thahra hai karwan-e-wafa
Raza Hamdani