ye kis maqam pe pahuncha hai karwan-e-wafa
hai ek zahar sa phaila hua fazaon mein
nishan-e-rah ki rakhte to hain KHabar lekin
zaban pe tale hain aur beDiyan hain panw mein
phire hain muddaton insan ki talash mein hum
wo shahr mein nazar aaya hamein na ganw mein
sar-e-niyaz bhi apna kabhi na KHam hoga
jhalak ghurur ki hai aap ki adaon mein
zamin se ta-ba-falak har taraf taffun hai
gulon ki bu ka pata kya chale hawaon mein
Ghazal
Ye kis maqam pe pahuncha hai karwan-e-wafa
Ayub Sabir