ye kis ko jag jag ke taron ki chhanw mein
hum mangte hain pichhle pahar ki duaon mein
kirnen abhi to gum hain ghaneri ghaTaon mein
bah jaengi ghaTaen ki kirnen hawaon mein
jannat ko dur dur to DhunDa gaya magar
qadmon tale na man ke na teghon ki chhanw mein
KHushki ke rahbaron se to ye bhi na ho saka
kuchh to KHuda ka nam chala na-KHudaon mein
ya-rab qafas hai ya ki chaman kya hai ye jahan
uljhe paDe hain phul kaTili laTaon mein
diwana mast-haal hai us ko KHabar kahan
jhanjhan paDi hui hai ki zanjir panw mein
donon ko apne des ki miTTi pe naz hai
sanpon ki banbiyan bhi hain phulon ke ganw mein
sab chal paDen jo KHuld ko jati ho koi rah
gul-mohr ki do-ruya qataron ki chhanw mein
hum shaiKH se ye kah ke su-e-dair chal diye
rakhiyega yaad hum ko bhi apni duaon mein

Ghazal
Ye kis ko jag jag ke taron ki chhanw mein
Rasheed Kausar Farooqi