ye kis ki justuju hai aur main hun
maqam-e-dasht-e-hu hai aur main hun
chaman mein dekhta phirta hun kis ko
fareb-e-rang-o-bu hai aur main hun
ba-roz-e-hashr taza gul khilega
wo daman ka lahu hai aur main hun
kabhi diwana tha par ab hun hushiyar
gareban ka rafu hai aur main hun
himaqat hazrat-e-wais ki dekho
taqaza-e-wuzu hai aur main hun
na puchho dil mein kya kya hasraten hain
tumhaari aarzu hai aur main hun
bhala ho tishna-kaami aur tera
mai-o-jam-o-subu hai aur main hun
rahunga kah ke dil ka majra sab
are mahshar mein to hai aur main hun
wo kahte hain kaho ai 'shauq' kya hai
are KHalwat hai tu hai aur main hun
Ghazal
Ye kis ki justuju hai aur main hun
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

