ye kis ka jalwa-e-hairat-faza nigah mein hai
ki pa-e-shauq guzargah-e-mehr-o-mah mein hai
hazar manzil-e-rah-e-junun tamam hui
hazar manzil-e-ahl-e-junun nigah mein hai
bulandiyon se guzar kar KHirad ka haal na puchh
bas ek ghubar-e-tahayyur liye nigah mein hai
aziz-tar teri baaten ki is sukut ke sath
tamam shoKHi-e-lafz-o-bayan nigah mein hai
farogh-e-jalwa-e-ummid teri umr daraaz
siyah raat hai sar par sahar nigah mein hai
kis ehtimam se hai aamad-e-urus-e-sahar
ki aahaTon ka tarannum tamam rah mein hai
kahan hai tab-e-nazar ahl-e-dil ki mahfil mein
kise majal-e-suKHan un ki bargah mein hai
Ghazal
Ye kis ka jalwa-e-hairat-faza nigah mein hai
Shakur Javed