ye kis dayar ke hain kis ke KHandan se hain
asir ho ke bhi jo log itni shan se hain
mile uruj to maghrur mat kabhi hona
bulandiyon ke sabhi raste Dhalan se hain
tum apne unche mahal mein raho magar socho
tumhaare sae mein kuchh log be-nishan se hain
zamin-e-karb ki har fasl ka jo malik hai
hamare dard ke rishte isi kisan se hain
mahak rahe hain gul-e-zaKHm-e-arzu har pal
meri hayat ke sab rang zafran se hain
suna rahe hain wahi dastan-e-zulm-o-sitam
hamari aankh mein aansu jo be-zaban se hain
kahan tak aap chhupaenge dastan-e-sitam
kitab-e-jism pe ab bhi kai nishan se hain
ye kaun tujh ko bachae hai har bala se 'raza'
ye kis ke hath tere sar pe aasman se hain
Ghazal
Ye kis dayar ke hain kis ke KHandan se hain
Raza Mauranvi