ye kis ada se chaman se bahaar guzri hai
sulag sulag ke tamanna hazar guzri hai
hayat dil ki jo ek shab shumar kar bhi lun
wo ek shab hi bahut be-qarar guzri hai
uDa ke le jo gai dil ki siskiyan bulbul
chaman chaman pe qayamat hazar guzri hai
saba ne chhu jo liya KHushbuon ke aanchal ko
jabin-e-gul pe shikan nagawar guzri hai
ye kis maqam pe pahunchi hai justuju dil ki
visal rut thi magar sogwar guzri hai
wafa udas hui thi fareb kha kha kar
meri nigah se guzri to mushk-bar guzri hai

Ghazal
Ye kis ada se chaman se bahaar guzri hai
Owaisul Hassan Khan