اردو हिंदी
Ye kin hadon mein hamara dil-e-gharib aaya | Shaahi Shayari
ye kin hadon mein hamara dil-e-gharib aaya

Ghazal

Ye kin hadon mein hamara dil-e-gharib aaya

Meer Naqi Ali Khan Saqib

;

ye kin hadon mein hamara dil-e-gharib aaya
sahar ki chap pe KHadsha hua raqib aaya

tamam umr mein DhunDa kiya ujalon ko
na tera dard bhaTak kar mere qarib aaya

hazar bar isi raste se guzra hai
mera wajud jo ab kucha-e-salib aaya

usi ke sath guzari hain sainkaDon ghaDiyan
wo ek shaKHs jo mujh tak bahut ajib aaya