ye KHwab aur bhi dekhenge raat baqi hai
abhi to ai dil-e-zinda hayat baqi hai
mere lahu mein abhi tark-e-ishq ke ba-wasf
wo garmi-e-nigah-e-iltifat baqi hai
abhi to zauq-e-talab mein kami nahin aai
abhi mera safar-e-be-jihat baqi hai
jo ho sake to shahadat-gah-e-nazar mein aa
ye dekh ishq mein kitna sabaat baqi hai
ye kaenat abhi ek intizar mein hai
ki hone wali koi wardat baqi hai
KHud apni rakh se tu ji uThe sharar ki tarah
ye moajiza abhi ai kaenat baqi hai
shab-e-visal mein din bhi mila na len ai dost
ki raat KHatm hui aur baat baqi hai
hui hai shaKH-e-hunar mein nai numu ab ke
'salim' barg-e-KHizan se najat baqi hai

Ghazal
Ye KHwab aur bhi dekhenge raat baqi hai
Saleem Ahmed