اردو हिंदी
Ye khet sabza shajar rahguzar sannaTa | Shaahi Shayari
ye khet sabza shajar rahguzar sannaTa

Ghazal

Ye khet sabza shajar rahguzar sannaTa

Qamar Siddiqi

;

ye khet sabza shajar rahguzar sannaTa
uga hai dur talak be-shumar sannaTa

hamare KHwab koi aur dekh leta hai
hamari aankh KHala intizar sannaTa

wo kushta-e-rah-e-saut-o-sada hua shayad
wo ek lafz tha jis ka hisar sannaTa

hai lafz lafz mein bujhte makalmon ka dhuan
sukut-e-ishq hai ya be-qarar sannaTa

kabhi to chheD koi saz koi naghma-e-jaan
kabhi to apne badan se utar sannaTa