ye KHazane ka koi sanp bana hota hai
aadmi ishq mein duniya se bura hota hai
kaam aata nahin bilkul koi rona-dhona
jaane wala to kahin dur gaya hota hai
jhonk kar dhul nigahon mein jahan walon ki
wo hamesha ki tarah mera hua hota hai
likh di hoti hai muqaddar mein bulandi jis ke
surat-e-KHak wo qadmon mein paDa hota hai
karni paDti hai usi mein hamein tarmim ki jo
waqia pahle se tartib diya hota hai
Ghazal
Ye KHazane ka koi sanp bana hota hai
Azlan shah