ye KHayal ab to dil-azar hamare liye hai
aaKHir-e-shab koi be-dar hamare liye hai
hum ajab dekh ke sarshaar hue jate hain
jaise ye garmi-e-bazar hamare liye hai
KHana-e-zist mein rahta hai ujala shab bhar
koi raushan sar-e-diwar hamare liye hai
KHatm hone ko nahin saKHti-e-alam-e-safar
rah mein phir koi kohsar hamare liye hai
DhunDte rahte hain ashjar mah-o-sal mein hum
kya koi shaKH-e-samar-dar hamare liye hai
ab khula us badan-e-gul pe hai mausam ka asar
hum samajhte the wo bimar hamare liye hai
koi to abr ki manind masafat mein 'salim'
dhup se bar-sar-e-paikar hamare liye hai

Ghazal
Ye KHayal ab to dil-azar hamare liye hai
Saleem Faraz