ye KHalq sari hawa mere nam kar degi
mere charaghon ka jina haram kar degi
suna hai dhup ko ghar lauTne ki jaldi hai
wo aaj waqt se pahle hi sham kar degi
kuchh aur der jo Thahra main us ki aankhon mein
to chand taron ko mera ghulam kar degi
main apne daur se bad-zan hun ibtida to karun
ki agli nasl mera baqi kaam kar degi
phir is ke baad wo mujh se lipaT ke roegi
safar ka Thik se sab intizam kar degi
KHaridne se to behtar hai us ko mang hi lun
wagarna unche bahut apne dam kar degi
batao is mein bhi us ka koi KHasara hai
wo shahr-e-KHwab abhi mere nam kar degi
Ghazal
Ye KHalq sari hawa mere nam kar degi
Sardar Asif