ye KHabar hai, mujh mein kuchh mere siwa maujud hai
ab to bas malum karna hai ki kya maujud hai
ek main hun, jis ka hona ho ke bhi sabit nahin
ek wo hai jo na ho kar ja-ba-ja maujud hai
han KHuda hai, is mein koi shak ki gunjaish nahin
is se tum ye mat samajh lena KHuda maujud hai
hal kabhi hota nahin ye jism se chhuTe baghair
main abhi zinda hun so ye masala maujud hai
tab aankhen la saken us husn ki, mumkin nahin
main to hairan hun ki ab tak aaina maujud hai
raat kaTti hai maze mein chain se hoti hai subh
chandni maujud hai baad-e-saba maujud hai
raushni si aa rahi hai is taraf chhanti hui
aur wo hiddat bhi jo zer-e-qaba maujud hai
ek pal fursat kahan dete hain mujh ko mere gham
ek ko bahla diya to dusra maujud hai
dard ki shiddat mein bhi chalti hai mere dil ke sath
ek dhaDakti raushni jo har jagah maujud hai
mo'tabar to qais ka qissa bhi hai is zimn mein
is hawale se mera bhi waqia maujud hai
KHwab mein ek zaKHm dekha tha badan par jis jagah
subh dekha to wahan ek dagh sa maujud hai
ek hi shoale se jalte aa rahe hain ye charagh
'mir' se mujh tak wahi ek silsila maujud hai
yun to hai 'irfan' har ehsas hi mahdud sa
ek kasak si hai ki jo be-intiha maujud hai
Ghazal
Ye KHabar hai, mujh mein kuchh mere siwa maujud hai
Irfan Sattar