ye KHabar aai hai aaj ek murshid-e-akmal ke pas
un ko dhamkaya kisi ne railway-signal ke pas
husn-e-awara ka ai hamdam bhala kya e'tibar
aaj bhaTanagar ke bas mein hai to kal mittal ke pas
un ki wahshat se ye zahir ho raha hai KHud-ba-KHud
ye usi mauza mein rahte hain jo hai mangal ke pas
baghban ki ab tawajjoh hai gulistan ki taraf
paude baDh ke KHud lagae hain kai kaThal ke pas
uTh gaya bazm-e-tarab se wo raqib-e-ru-siyah
rafta rafta hath jab pahuncha mera chappal ke pas
razm-gah mein un se nazren laD rahi hain bar bar
ho raha hai ek danggal aur usi danggal ke pas
log un ki bazm mein rah kar bhi hain mahrum-e-did
jaan-ba-lab hain pyas se baiThe hue hain nal ke pas
dekhiye ye baada-e-rangin ki adna si kashish
shaiKH-sahib aur khisak kar aa gae botal ke pas
naseh-e-nadan ka shikwa karna hai bilkul fuzul
wo to pagal hai koi kyun jae phir pagal ke pas
himmat-afzai na jab ummal-e-mamuli ne ki
pahunchi rishwat afsaran-e-darja-e-awwal ke pas
'shauq'-sahib munis-e-tanhai ki hajat ho gar
to kisi din be-takalluf chaliye sewa-dal ke pas

Ghazal
Ye KHabar aai hai aaj ek murshid-e-akmal ke pas
Shauq Bahraichi