ye kaun sa suraj mere pahlu mein khaDa hai
mujh se to 'rashid' ab mera saya bhi baDa hai
tu jis pe KHafa hai mere andar ka ye insan
us baat pe mujh se bhi kai bar laDa hai
dekha jo palaT kar to mere sae mein gum tha
wo shaKHs jo mujh se qad-o-qamat mein baDa hai
sadiyon use pala hai samundar ne sadaf mein
pal-bhar ke liye jo meri palkon mein jaDa hai
KHurshid ke chehre pe lakiren hain lahu ki
KHanjar sa koi raat ke sine mein gaDa hai
ek lafz jo nikla tha safen dil ki ulaT kar
muddat se mere lab pe wo be-jaan paDa hai
Takra ke palaTta hun lagatar udhar se
ye sang-sifat kaun sar-e-rah khaDa hai
Ghazal
Ye kaun sa suraj mere pahlu mein khaDa hai
Rasheed Qaisrani

