ye kaun sa parwana mua jal ke lagan mein
hairat se jo hai shama ki angusht dahan mein
kahte hain use chah-e-zanaKHdan ghalati se
bose ka nishan hai ye tere seb-e-zaqan mein
wo aaina-tan aaina phir kis liye dekhe
jo dekh le munh apna har ek uzw-e-badan mein
wo subah ko is Dar se nahin baam par aata
nama na koi bandh de suraj ki kiran mein
mazmun nahin likhte hum use dagh-e-jigar ka
rakh dete hain lale ki kali KHat ki shikan mein
ye gard-e-kudurat se pas-e-marg tha dil saf
dhabba na laga KHak ka bhi mere kafan mein
zindan mein asiron se ye kahta tha mah-e-misr
ghurbat hi mein aaram mila aur na watan mein
Ghazal
Ye kaun sa parwana mua jal ke lagan mein
Munawar Khan Ghafil

