اردو हिंदी
Ye kaun sa maqam hai ai josh-e-be-KHudi | Shaahi Shayari
ye kaun sa maqam hai ai josh-e-be-KHudi

Ghazal

Ye kaun sa maqam hai ai josh-e-be-KHudi

Ratan Pandorwi

;

ye kaun sa maqam hai ai josh-e-be-KHudi
rasta bata raha hun har ek rahnuma ko main

donon hi kaamyab hue hain talash main
zat-e-KHuda mili mujhe zat-e-KHuda ko main

miTTi uTha ke dekhta hun rah-e-shauq ki
bhula nahin hun josh-e-talab mein fana ko main

hasti fana hui to haqiqat ye khul gai
main KHud baqa hun kis liye DhunDun baqa ko main

kyunkar main is ko dushman-e-hasti qarar dun
pata hun muddaa ka zariya qaza ko main

kyun us ki justuju ka ho sauda mujhe 'ratan'
mujh se agar juda ho to DhunDun KHuda ko main