اردو हिंदी
Ye kaun mane ki na-ashna-e-raaz hai tu | Shaahi Shayari
ye kaun mane ki na-ashna-e-raaz hai tu

Ghazal

Ye kaun mane ki na-ashna-e-raaz hai tu

Mani Jayasi

;

ye kaun mane ki na-ashna-e-raaz hai tu
magar yahi ki KHudawand-e-be-niyaz hai to

us aastan pe jo sar hai to sarfaraaz hai tu
niyaz-mandi-e-alam se be-niyaz hai tu

samajh mein aae na aae ada-e-chaaragari
mujhe to hai ye bharosa ki chaarasaz hai tu

fana nahin hai ajal umr-e-jawedani hai
wajud hai wo haqiqat ki jis ka raaz hai tu

qubul kar meri dad ai meri siyah-baKHti
harif-e-zulmat-e-tanhai-e-daraaz hai to

nawazishen teri mubham sahi magar ai dost
ye e'tibar hai kya kam ki dil-nawaz hai tu

baDe marahil-e-dushwar se guzarna hai
niyaz jada hai aur manzil-e-niyaz hai tu

ye manta hai zamana ki main hun nazish-e-sabr
ye raaz koi na samjha ki mera naz hai tu

hai sar KHushi mein tujhe pas-e-gham-kashan 'mani'
ajib rind-e-KHuda-tars-o-pak-baz hai tu