اردو हिंदी
Ye kaun ghazal-KHwan hai pur-soz o nashat-angez | Shaahi Shayari
ye kaun ghazal-KHwan hai pur-soz o nashat-angez

Ghazal

Ye kaun ghazal-KHwan hai pur-soz o nashat-angez

Allama Iqbal

;

ye kaun ghazal-KHwan hai pur-soz o nashat-angez
andesha-e-dana ko karta hai junun-amez

go faqr bhi rakhta hai andaz-e-mulukana
na-puKHta hai parwezi be-saltanat-e-parwez

ab hujra-e-sufi mein wo faqr nahin baqi
KHun-e-dil-e-sheran ho jis faqr ki dastawez

ai halqa-e-darweshan wo mard-e-KHuda kaisa
ho jis ke gareban mein hangama-e-rusta-KHez

jo zikr ki garmi se shole ki tarah raushan
jo fikr ki surat mein bijli se ziyaada tez

karti hai mulukiyat aasar-e-junun paida
allah ke nishtar hain taimur ho ya changez

yun dad-e-suKHan mujh ko dete hain iraq o paras
ye kafir-e-hindi hai be-tegh-o-sinan KHun-rez