ye kaun chhoD gaya us pe KHamiyan apni
mujhe dikhata hai aaina jhurriyan apni
bana ke chhap lo tum un ko surKHiyan apni
kuen mein phenk di hum ne to nekiyan apni
badalte waqt ki raftar thamte hain huzur
badalte rahte hain aksar jo Topiyan apni
qataren dekh ke lambi hazaron logon ki
main phaD deta hun aksar sab arziyan apni
nahin lihaf ghilafon ki kaun baat kare
tu dekh phir bhi guzarti hain sardiyan apni
zalil hota hai kab wo use hisab nahin
abhi to gin raha hai wo dihaDiyan apni
yun baat karta hai wo pur-tapak lahje mein
magar chhupa nahin pata wo talKHiyan apni
bhale dinon mein kabhi ye bhi kaam aaega
abhi sambhaal ke rakh lo udasiyan apni
hamein hi aankhon se un ko sunana aata nahin
suna hi dete hain chehre kahaniyan apni
mere liye meri ghazlen hain canwas ki tarah
ukerata hun main jin par udasiyan apni
tamam falsafe KHud mein chhupae rahti hain
kahin hain dhup kahin chhanw wadiyan apni
abhi jo dhund mein lipTi dikhai deti hain
kabhi to dhup nahaengi bastiyan apni
buland hauslon ki ek misal hain ye bhi
pahaD roz dikhate hain choTiyan apni
bhula rahi hai tujhe dhup 'dwij' pahaDon ki
tu kholta hi nahin phir bhi khiDkiyan apni
Ghazal
Ye kaun chhoD gaya us pe KHamiyan apni
Dwijendra Dwij