ye kashti-e-hayat ye tufan-e-hadsat
mujh ko to kuchh KHabar na rahi aar-par ki
hai gardish-e-zamana mein do-rangi-e-hayat
ummid ki sahar hai to shab intizar ki
ye dair ye haram ye kalisa ye somnat
tarif kya ho qudrat parwardigar ki
hai kaun jo uTha sake bar-e-gham-e-hayat
hum ne bhi gar qaba-e-KHirad tar tar ki
allah re tasadum-e-haalat-o-hadsat
ki iKHtiyar sang ne surat sharar ki
zarron ki aab-o-tab se taron ne khai mat
ye KHubiyan hain KHak tere inkisar ki
ai 'ashk' zindagi mein na puchhi kisi ne baat
ab KHak chumte hain hamare mazar ki
Ghazal
Ye kashti-e-hayat ye tufan-e-hadsat
Ashk Amritsari