ye karishma-sazi-e-ishq ki meri jaan zinda nazir hai
jo faqir tha wo amir hai jo amir tha wo faqir hai
meri KHwahishon ki bisat par ye jo ek surKH lakir hai
yahi ek lakir to asl mein nae mausamon ki safir hai
na wo sar-zamin na wo aasman magar aaj bhi sar-e-dasht-e-jaan
wahi hath hai wahi mushk hai wahi pyas hai wahi tir hai
kisi lab pe harf-e-sitam to ho koi dukh supurd-e-qalam to ho
ye baja ki shahr-e-malal mein koi 'faiz' hai koi 'mir' hai
mere ham-suKHan mere ham-zaban baDe KHush-guman baDe KHush-bayan
koi KHwahishon ka ghulam hai koi zulf-o-ruKH ka asir hai
ye ajib ruKH hai hayat ka nahin manzilon se jo aashna
wahi raston ka charagh hai wahi qafile ka amir hai
Ghazal
Ye karishma-sazi-e-ishq ki meri jaan zinda nazir hai
Manzar Ayubi