ye karbala hai nazr-e-bala hum hue ki tum
namus-e-qafila pe fida hum hue ki tum
kyun dajla-o-furaat ke dawe ki nahr par
tishna-dahan shahid-e-jafa hum hue ki tum
mana ki sab ajal ke muqabil the sar-ba-kaf
lekin shikar-e-tir-e-qaza hum hue ki tum
tum bhi fareb-KHurda sahi par ba-sad-KHulus
maqtul-e-makr-o-said-e-dagha hum hue ki tum
tum shaKH-e-gul se uD ke gae shaKH-e-gul ki samt
apne nashemanon se juda hum hue ki tum
ustad sabr-o-nukta-shanas-e-raza the tum
lekin katil-e-sabr-o-raza hum hue ki tum
sau bar raste mein luTa hai jo karwan
us karwan ke rah-numa hum hue ki tum
paikan-e-neza-o-rasan-o-dar hai gawah
sar de ke sar-buland-e-wafa hum hue ki tum
paiman-e-shauq kis ne nibaha qadam qadam
aur haqq-e-ashiqi se ada hum hue ki tum
tum bhi nisar-e-dost the hum bhi nisar-e-dost
KHud faisla karo ki fida hum hue ki tum
tum bhi julus-e-mausam-e-gul mein the pesh pesh
aawara misl-e-baad-e-saba hum hue ki tum
tum lakh ham-safar the par insaf to karo
yaro halak-e-laghzish-e-pa hum hue ki tum
Ghazal
Ye karbala hai nazr-e-bala hum hue ki tum
Rais Amrohvi