ye karb ye tasalsul-e-be-KHwab shab to hai
goya tumhaari yaad ka koi sabab to hai
anjam jo bhi ho mera is razm-gah mein
mansub tere nam se jashn-e-tarab to hai
sarmaya-e-hayat mere pas kam nahin
zaKHm-e-jigar fareb-e-nazar dard sab to hai
milne mein uzr tarz-e-takallum bujha bujha
pahle na thi ye baat magar KHair ab to hai
ai bahr-e-imbisat ki tu la-zawal hai
ab bhi tere qarib koi tishna-lab to hai
Ghazal
Ye karb ye tasalsul-e-be-KHwab shab to hai
Raghib Akhtar