ye kamra aur ye gard-o-ghubar us ka hai
wo jis ne aana nahin intizar us ka hai
ruki hun zaKHm ke raqbe mein apni marzi se
ye jaanti hun ki qurb-o-jawar us ka hai
kisi KHasare ke saude mein hath aaya tha
so ek qimti shai mein shumar us ka hai
faqat firaq to itna nasha nahin rakhta
main laDkhaDai hun jis se KHumar us ka hai
KHarid sakti thi so main KHarid lai hun
wo mere pas hai chahe hazar us ka hai
darida-jaan hun darida-libasiyan bhi hain
magar ye kam to nahin tar tar us ka hai
main saint saint ke kitna sameT kar rakhkhun
ki kaenat bhara intishaar us ka hai
na jaane bolti rahti hun nind mein kya kya
jo nam sunti hun main bar bar us ka hai
main ghar se jaun to tala laga ke jati hun
kuchh us ki shohraten kuchh e'tibar us ka hai

Ghazal
Ye kamra aur ye gard-o-ghubar us ka hai
Yasmeen Habeeb