ye kaisi aag abhi ai shama tere dil mein baqi hai
koi parwana jal marne ko kya mahfil mein baqi hai
hazaron uTh gae duniya se apni jaan de de kar
magar ek bhiD phir bhi kucha-e-qatil mein baqi hai
hue wo mutmain kyun sirf mere dam nikalne par
abhi to ek duniya-e-tamanna dil mein baqi hai
hua tha gharq bahr-e-ishq is andaz se koi
ki naqsha Dubne ka dida-e-sahil mein baqi hai
qaza se koi ye kah de ki mushtaq-e-shahadat hun
abhi ek marne wala kucha-e-qatil mein baqi hai
kahan fursat hujum-e-ranj-o-gham se hum jo ye jaanchen
ki nikli kya tamanna kya tamanna dil mein baqi hai
abhi se apna dil thame hue kyun log baiThe hain
abhi to hashr uThne ko teri mahfil mein baqi hai
wahan the jama jitne marne wale mar gae wo sab
qaza le-de ke bas ab kucha-e-qatil mein baqi hai
abhi se tu ne qatil myan mein talwar kyun rakh li
abhi to jaan thoDi si tan-e-'bismil' mein baqi hai

Ghazal
Ye kaisi aag abhi ai shama tere dil mein baqi hai
Bismil Allahabadi