ye kaise malbe ke niche daba diya gaya hun
mujhe badan se nikalo main tang aa gaya hun
kise dimagh hai be-faiz sohbaton ka miyan
KHabar uDa do ki main shahr se chala gaya hun
maal-e-ishq-e-ana-gir hai ye muKHtasaran
main wo darinda hun jo KHud ko hi chaba gaya hun
koi ghaDi hai ki hota hun aastin mein dafn
main dil se bahta hua aankh tak to aa gaya hun
mera tha markazi kirdar is kahani mein
baDe saliqe se be-majra kiya gaya hun
wo mujh ko dekh raha hai ajab tahayyur se
na-jaane jhonk mein kya kuchh use bata gaya hun
mujhe bhula na sakegi ye rahguzar-e-junun
qadam jama na saka rang to jama gaya hun
sab ehtimam se pahunche hain us ki bazm mein aaj
main apne haal mein sarmast o mubtala gaya hun
mere kahe se mere gird-o-pesh kuchh bhi nahin
so jo dikhaya gaya hai wo dekhta gaya hun
use bataya nahin hijr mein jo haal hua
jo baat sab se zaruri thi wo chhupa gaya hun
ghazal mein khinch ke rakh di hai apni jaan irfan
har ek sher mein dil ka lahu baha gaya hun
Ghazal
Ye kaise malbe ke niche daba diya gaya hun
Irfan Sattar