ye kaise KHauf hamein aaj phir satane lage
hamare pas raho tum ki dil Thikane lage
ghubar-e-shahr se bahar teri rifaqat mein
sukut-e-sham ke lamhe baDe suhane lage
kabhi jo lauT ke aae kisi masafat se
to apne shahr ke manzar wahi purane lage
saza ke KHauf se kyun is qadar larazta hai
kar aisa jurm ki rahmat bhi muskurane lage
ye kaenat to ujlat mein mil gai thi mujhe
magar talash mein apni kai zamane lage
zahe nasib mera fan maqam pa hi gaya
hasin honT mere git gungunane lage
Ghazal
Ye kaise KHauf hamein aaj phir satane lage
Syed Anwar Ahmad