اردو हिंदी
Ye kaise baal khole aae kyun surat bani gham ki | Shaahi Shayari
ye kaise baal khole aae kyun surat bani gham ki

Ghazal

Ye kaise baal khole aae kyun surat bani gham ki

Aghaa Shair

;

ye kaise baal khole aae kyun surat bani gham ki
tumhaare dushmanon ko kya paDi thi mere matam ki

shikayat kis se kije hae kya ulTa zamana hai
baDhaya pyar jab hum ne mohabbat yar ne kam ki

jigar mein dard hai dil muztarib hai jaan be kal hai
mujhe is be-KHudi mein bhi KHabar hai apne aalam ki

nahin milte na miliye KHair koi mar na jaega
KHuda ka shukr hai pahle mohabbat aap ne kam ki

adu jis tarah tum ko dekhta hai hum samajhte hain
chhupao lakh tum chhupti nahin hai aankh mahram ki

maza is mein hi milta hai namak chiDko namak chiDko
qasam le lo nahin aadat mere zaKHmon ko marham ki

kahan jaana hai tham-tham kar chalo aisi bhi kiya jaldi
tum hi tum ho KHuda rakkhe nazar paDti hai aalam ki

koi aisa ho aaina ki jis mein tu nazar aae
zamane bhar ka jhuTa kya haqiqat saghar-e-jam ki

ghaTaen dekh kar be-tab hai bechain hai 'shair'
tere qurban o mutrib suna de koi mausam ki