ye kaisa rabt hua dil ko teri zat ke sath
tera KHayal ab aata hai baat baat ke sath
kaThin tha marhala-e-intizar-e-subh bahut
basar hua hun main KHud bhi guzarti raat ke sath
paDin thin pa-e-nazar mein hazar zanjiren
bandha hua tha main apne tawahhumat ke sath
jalus-e-waqt ke pichhe rawan main ek lamha
ki jaise koi janaza kisi baraat ke sath
kabhi kabhi to ye lagta hai jaise ye duniya
badal rahi ho mere dil ki wardat ke sath
jo dur se bhi kisi gham ka samna ho jae
pukarta hai mujhe kitne iltifat ke sath
taDaKH ke TuT gaya dil ka aaina 'maKHmur'
paDa jo aks-e-fana partaw-e-hayat ke sath

Ghazal
Ye kaisa rabt hua dil ko teri zat ke sath
Makhmoor Saeedi