ye kaisa kar-e-duniya ho raha hai
lahu insan ka sasta ho raha hai
zara haalat kya badle hamare
jo apna tha paraya ho raha hai
dilon ka mail baDhta ja raha hai
bashar andar se kala ho raha hai
ghaTaen KHushk hoti ja rahi hain
jo dariya tha wo sahra ho raha hai
yahi hota raha hai hum se akasr
hamare sath jaisa ho raha hai
qadam paDne lage hain sab ke ulTe
har ek rasta hi TeDha ho raha hai
'nabil'-ahmad kabhi dekha hai tum ne
bashar kitna akela ho raha hai
Ghazal
Ye kaisa kar-e-duniya ho raha hai
Nabeel Ahmad Nabeel