ye kaisa kaam ai dast-e-masih kar Dala
jo dil ka zaKHm tha wo hi sahih kar Dala
shab-e-siyah ka chehra udas dekha to
nikal ke chand ne us ko malih kar Dala
zara sa jhank ke tarikiyon se suraj ne
malih chehra-e-shab ko sabih kar Dala
main kaise aql ka paikar samajh lun insan ko
KHud apni zist ko jis ne qabih kar Dala
kal us ne chheD ke mahfil mein tazkira mera
har ek aib-o-hunar ko sarih kar Dala
tumhaari dastan uljhi hui thi wahmon mein
duaen do hamein hum ne fasih kar Dala
Ghazal
Ye kaisa kaam ai dast-e-masih kar Dala
Zameer Atraulvi