اردو हिंदी
Ye kahan se mauj-e-tarab uThi ki malal dil se nikal gae | Shaahi Shayari
ye kahan se mauj-e-tarab uThi ki malal dil se nikal gae

Ghazal

Ye kahan se mauj-e-tarab uThi ki malal dil se nikal gae

Fareed Javed

;

ye kahan se mauj-e-tarab uThi ki malal dil se nikal gae
wahi subh-o-sham jo the giran nafas-e-bahaar mein Dhal gae

ye dayar-e-shauq hai ham-nashin yahan laghzishon mein bhi husn hai
jo miTe wo aur ubhar gae jo gire wo aur sambhal gae

hamein zindagi ki talash thi hamein sarKHushi ki talash thi
hue zindagi se jo aashna to jarahaton se bahal gae

tere sogwaron ki zindagi kabhi mutmain na guzar saki
jo bujhi kabhi koi tishnagi kai aur dard machal gae

meri aarzuon ke KHwab the ki faza-e-husn-o-shabab the
kahin nikhaton mein bikhar gae kahin rang-o-nur mein Dhal gae

unhen rahaton ka KHayal hai na saubaton ka malal hai
jo teri talash mein chal paDe jo teri talab mein nikal gae

hai bhari bahaar to kya karun na mile qarar to kya karun
mere samne hain wo aashiyan jo bhari bahaar mein jal gae