ye kah ke aag wo dil mein lagae jate hain
charagh KHud nahin jalte jalae jate hain
ab is se baDh ke sitam doston pe kya hoga
wo dushmanon ko gale se lagae jate hain
gharibi jurm hai aisa ki dekh kar mujh ko
nigahen pher ke apne parae jate hain
kashish charagh ki ye baat kar gai raushan
patinge KHud nahin aate bulae jate hain
tajalliyon ke hijabaat hain KHayal rahe
ye parde dast-e-nazar se uThae jate hain
hamein mili hai jagah jab se aap ke dil mein
jahan hain aap wahan hum bhi pae jate hain
na puchh haal-e-shab-e-gham na puchh ai 'purnam'
bahae jate hain aansu bahae jate hain
Ghazal
Ye kah ke aag wo dil mein lagae jate hain
Purnam Allahabadi