اردو हिंदी
Ye kah gaya but-e-na-ashna suna ke mujhe | Shaahi Shayari
ye kah gaya but-e-na-ashna suna ke mujhe

Ghazal

Ye kah gaya but-e-na-ashna suna ke mujhe

Jaleel Manikpuri

;

ye kah gaya but-e-na-ashna suna ke mujhe
ki aap mein nahin rahta hai koi pa ke mujhe

naqab kahti hai main parda-e-qayamat hun
agar yaqin na ho dekh lo uTha ke mujhe

milunga KHak mein aansu ki tarah yaad rahe
milo na aankh kahin aankh se gira ke mujhe

ada se khinch raha hai kaman wo tir-andaz
qaza pukar rahi hai zara bacha ke mujhe

tumhaare waste is dil ka mol hi kya hai
ada se dekh lo ek din nazar uTha ke mujhe

tere hisab mein teri qaba ka daman hun
ki jab mizaj mein aaya chala luTa ke mujhe

main Dar raha hun tumhaari nashili aankhon se
ki luT len na kisi roz kuchh pila ke mujhe

buland nam na hoga sitam-shiari se
tum aasman na ho jaoge sata ke mujhe

buton ko takte guzri hai sharm aaegi
'jalil' le na chalo samne KHuda ke mujhe