ye kah gae hain musafir luTe gharon wale
Daren hawa se parinde khule paron wale
ye mere dil ki hawas dasht-e-be-karan jaisi
wo teri aankh ke tewar samundaron wale
hawa ke hath mein kase hain zard patton ke
kahan gae wo saKHi sabz chadaron wale
kahan milenge wo agle dinon ke shahzade
pahan ke tan pe libaade gadagaron wale
pahaDiyon mein ghire ye bujhe bujhe raste
kabhi idhar se guzarte the lashkaron wale
unhi pe ho kabhi nazil azab aag ajal
wahi nagar kabhi Thahren payambaron wale
tere supurd karun aaine muqaddar ke
idhar to aa mere KHush-rang pattharon wale
kisi ko dekh ke chup chup se kyun hue 'mohsin'
kahan gae wo irade suKHan-waron wale
Ghazal
Ye kah gae hain musafir luTe gharon wale
Mohsin Naqvi