ye kab kaha tha nazaron se KHauf aata hai
mujhe to chand sitaron se KHauf aata hai
mein dushmanon ke kisi war se nahin Darta
mujhe to apne hi yaron se KHauf aata hai
KHizan ka jabr to sine pe rok lete hain
hamein udas bahaaron se KHauf aata hai
mile hain dosto baisakhiyon se gham itne
mere badan ko sahaaron se KHauf aata hai
main iltifat ki KHandaq se dur rahta hun
talluqat ke ghaaron se KHauf aata hai

Ghazal
Ye kab kaha tha nazaron se KHauf aata hai
Wasi Shah