ye kar-e-KHair hai is ko na kar-e-bad samho
mujhe tabah karo aur ise madad samho
main is kahani mein tarmim kar ke laya hun
jo tum ko pahle sunai thi mustarad samho
mujhe KHuda se nahin hai koi gila lekin
tum aadmi ho to phir aadmi ki had samho
ye sirf peD nahin hai sadi ka qissa hai
ye jo bhi baat kare us ko mustanad samho
yahan kisi ne bhi aaindagan nahin dekhe
so jo guzar chuke ho wahi abad samho
Ghazal
Ye kar-e-KHair hai isko na kar-e-bad samho
Abid Malik