اردو हिंदी
Ye junun ke marke itne nahin aasan bhi | Shaahi Shayari
ye junun ke marke itne nahin aasan bhi

Ghazal

Ye junun ke marke itne nahin aasan bhi

Khurshid Talab

;

ye junun ke marke itne nahin aasan bhi
soch lena is mein ja sakti hai teri jaan bhi

raushni bhi chahiye taza hawa ke sath sath
khiDkiyan rakhta hun apne ghar mein roshan-dan bhi

zindagi mein jo tumhein KHud se ziyaada the aziz
un se milne kya kabhi jate ho qabristan bhi

ganw ki pagDanDiyan pakki saDak se ja milin
tang galiyon mein badal kar rah gae maidan bhi

pasban-e-aql ne to mujh ko samjhaya bahut
tha magar pahlu mein mere dil sa ek nadan bhi

KHushk hain dariya samundar kaT gae jangal tamam
ret se KHali hue jate hain registan bhi

mere lafzon ke ujale mand paDte jaenge
dhund mein kho jaegi ek din meri pahchan bhi

KHud ko kaise qatl hone se bachata mein 'talab'
raat mere ghar mein ek qatil tha aur mehman bhi