ye jo uThti konpal hai jab apna barg nikalegi
Dali Dali chaTegi aur patta patta kha legi
honhaar birwa ke patte chikne chikne hote hain
bahut nahin kuchh thoDe hi din mein bel phunag ko aalegi
abhi to kya hai chhuTpan hai nadani hai be-hoshi hai
qahr to us din howega jab apna hosh sambhaalegi
naz-ada aur ghamzon ke kuchh aur hi katregi gul-phul
sin lagawaT chitwan ka bhi aur hi itr nikalegi
kajal mehndi pan misi aur kanghi choTi mein har aan
kya kya rang banawegi aur kya kya naqshe Dhaalegi
jab ye tan gadrawega aur bazu banhen honge gol
us dam dekha chahiye kya kya peT ke panw nikalegi
kis kis ka dil dhaDkega aur kaun malega hathon ko
pakkin se jab angiya mein ye kachche seb uchhaalegi
pan chaba aur aaine mein dekh ke apne honTon ko
kya kya hans hans dewegi aur kya kya dekhe-bhaalegi
KHana-jangyan howengi aur log marenge kaT kaT kar
shahr ke kuche-galiyon mein ek shor-e-qayamat Dalegi
jab ye mewa husn ka ras ras pak kar howega tayyar
naika is ki qimat ka jab dekha chahiye kya legi
sona rupa sim-o-jawahir sabr o dil o din hosh-o-qarar
aankh uTha kar dekhte hi ek aan mein sab rakhwa legi
apne waqt-e-jawani mein ye shoKH KHuda hi jaane 'nazir'
kis kis ka zar luTegi aur kis kis ka ghar ghaalegi
Ghazal
Ye jo uThti konpal hai jab apna barg nikalegi
Nazeer Akbarabadi