اردو हिंदी
Ye jo tartib se bana hua main | Shaahi Shayari
ye jo tartib se bana hua main

Ghazal

Ye jo tartib se bana hua main

Iliyas Babar Aawan

;

ye jo tartib se bana hua main
ek muddat mein rasta hua main

log aate the dekhne mujh ko
aise patthar se aaina hua main

kya KHabar kab nazar mein aa jaun
shor mein ek bolta hua main

ab to pahchan mein nahin aata
teri diwar se juDa hua main

shahr ke bich aa gaya ek din
sahn ke bich dauDta hua main

aap bhi apna shauq farmaen
jaane kitnon ka hun Dasa hua main

sham hoti hai to nikalta hun
us ki palkon se chiKHta hua main